SAD Shayari 2018



Sad Shayari, Hum Jaise Barbaad Huye


Iss Mohabbat Ki Kitaab Ke,
Bas Do Hi Sabak Yaad Huye,
Kuchh Tum Jaise Aabaad Huye,
Kuchh Hum Jaise Barbaad Huye.
इस मोहब्बत की किताब के,
बस दो ही सबक याद हुए,
कुछ तुम जैसे आबाद हुए,
कुछ हम जैसे बरबाद हुए।


Sad Shayari, Na Aana Khayal Mein

Ab TumKo Bhool Jaane Ki Koshish Karenge Hum,
Tum Se Bhi Ho Sake Toh Na Aana Khayal Mein.
अब तुम को भूल जाने की कोशिश करेंगे हम
तुम से भी हो सके तो न आना ख़याल में।


Najar Bacha Ke Gujar Jayein Woh Mujhse Lekin,
Mere Khayal Se Daaman Woh Bacha Nahi Sakte.
नजर बचा कर गुजर जाएँ वो मुझसे लेकिन,
मेरे ख्याल से दामन वो बचा नहीं सकते।


Sad Shayari, Mohabbat Mein Ujad Kar

Uski Baahon Mein Sone Ka
Abhi Tak Shauk Hai Mujhko,
Mohabbat Mein Ujad Kar Bhi
Meri Aadat Nahi Badli.
उसकी बाहों में सोने का
अभी तक शौक है मुझको,
मोहब्बत में उजड़ कर भी
मेरी आदत नहीं बदली।


Sad Shayari, Lamhon Ki Daulat

Lamhon Ki Daulat Se Dono Hi Mahroom Rahe,
Mujhe Churana Na Aaya Tumhein Kamana Na Aaya.
लम्हों की दौलत से दोनों ही महरूम रहे,
मुझे चुराना न आया, तुम्हें कमाना न आया।


Na Jaane Iss Zid Ka Nateeja Kya Hoga,
Samjhata Dil Bhi Nahi Main Bhi Nahi Tum Bhi Nahi.
ना जाने इस ज़िद का नतीजा क्या होगा,
समझता दिल भी नहीं मैं भी नहीं और तुम भी नहीं


Sad Shayari, Bikhri Kitaabein Bheege Palak

Bikhri Kitaabein Bheege Palak Aur Yeh Tanhai,
Kahun Kaise Ke Mila Mohabbat Mein Kuchh Bhi Nahi.
बिखरी किताबें भीगे पलक और ये तन्हाई,
कहूँ कैसे कि मिला मोहब्बत में कुछ भी नहीं।


Aisa Lagta Hai Ke Woh Bhool Gaya Hai Humko,
Ab Kabhi Khidki Ka Parda Nahi Badla Jata.
ऐसा लगता है कि वो भूल गया है हमको,
अब कभी खिड़की का पर्दा नहीं बदला जाता।


Sad Shayari, Na Justjoo Ka Sila Mila

Humein Apne Ghar Se Chale Hue,
Sar-e-Raah Umar Gujar Gayi,
Na Koi Justjoo Ka Sila Mila,
Na Safar Ka Haq Hi Adaa Hua.
हमें अपने घर से चले हुए,
सरे राह उमर गुजर गई,
न कोई जुस्तजू का सिला मिला,
न सफर का हक ही अदा हुआ।



Sad Shayari, Barbadiyon Ke Jashn Mein

Tu Meri Barbadiyon Ke Jashn Mein Shamil Raha,
Yeh Tasawwur Hi Bahut Aaraam Deta Hai Mujhe.
तू मेरी बरबादियों के जश्न में शामिल रहा,
ये तसव्वुर ही बहुत आराम देता है मुझे।


Bhool Ja Ab Tu Mujhe Aasaan Hai Tere Liye,
Bhulna Tujhko Nahi Aasaan Magar Mere Liye.
भूल जा अब तू मुझे आसान है तेरे लिए,
भूलना तुझको नहीं आसां मगर मेरे लिए।


Sad Shayari, Itna Bhi Ikhteyaar Nahi

Itna Bhi Ikhteyaar Nahi Mujhko Bazm Mein,
Shamayein Agar Bujhein Toh Main Dil Jala Sakun.
इतना भी इख्तियार नहीं मुझको वज़्म में,
शमाएँ अगर बुझें तो मैं दिल को जला सकूँ।


Gila Bhi Tujh Se Bahut Hai Magar Mohabbat Bhi,
Woh Baat Apni Jagah Hai Yeh Baat Apni Jagah.
गिला भी तुझ से बहुत है मगर मोहब्बत भी,
वो बात अपनी जगह है ये बात अपनी जगह।


Sad Shayari, Barbadiyon Mein Tera Hath

Yeh Toh Na Kah Ke Kismat Ki Baat Hai,
Meri Barbadiyon Mein Tera Bhi Hath Hai.
ये तो न कह कि किस्मत की बात है,
मेरी बरबादियों में तेरा भी हाथ है।


Kuchh Kati Himmat-e-Sawal Mein Umr,
Kuchh Umeed-e-Jawab Mein Gujri.
कुछ कटी हिम्मत-ए-सवाल में उम्र,
कुछ उम्मीद-ए-जवाब में गुजरी।



Sad Shayari, Chand Kaliyan Nishaat Ki

Chand Kaliyan Nishaat Ki Chunkar,
Muddaton Mayoos Rehta Hun,
Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi,
Tujhse MilKar Udaas Rehta Hun.
चंद कलियाँ निशात की चुनकर,
मुद्दतों मायूस रहता हूँ,
तेरा मिलना ख़ुशी की बात सही,
तुझसे मिलकर उदास रहता हूँ।



Sad Shayari, Kisi Ko Na Chaho



Bas Yehi Baat Ke Kisi Ko Na Chaho Dil Se,
Tajurbe Iss Ke Siwa Umr Ko Kya Dete Hai.
बस यही बात कि किसी को ना चाहों दिल से,
तज़ुर्बे इस के सिवा उम्र को क्या देते हैं।


Qabron Mein Nahi Humko Kitaabon Mein Utaro,
Hum Log Mohabbat Ki Kahani Mein Mare Hain.
क़ब्रों में नहीं हम को किताबों में उतारो,
हम लोग मोहब्बत की कहानी में मरे हैं।


Sad Shayari, Andhera Hi Sahi Tha

Woh Andhera Hi Sahi Tha Ke Kadam Rah Par The,
Roshni Le Aayi Mujhe Manzil Se Bahut Dur.
वो अँधेरा ही सही था कि कदम राह पर थे,
रोशनी ले आई मुझे मंजिल से बहुत दूर।


Main Paa Nahi Saka Iss Kashmkash Se Chhutkara,
Tu Mujhe Jeet Bhi Sakta Tha Magar Haara Kyun?
​मैं पा नहीं सका इस कशमकश से छुटकारा​,
तू मुझे जीत भी सकता था मगर ​हारा क्यूँ​।




Sad Shayari, Thi Kismat Mein Nakami

Nateeja Ek Hi Nikla,
Ke Thi Kismat Mein Nakami,
Kabhi Kuchh Kah Ke Pachhtaye
Kabhi Chup Rah Ke Pachhtaye.
नतीजा एक ही निकला,
कि थी किस्मत में नाकामी,
कभी कुछ कहके पछताए,
कभी चुप रहके पछताए।


Sad Shayari, Ek Hijr Ka Faisla

Mumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha,
Hum Ne Toh Ek Baat Ki Us Ne Kamaal Kar Diya.
मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था,
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया।


Hosho-Hawaas Aur Taabo-Tawaan Daag Ja Chuke,
Ab Hum Bhi Jaane Wale Hain Saamaan Toh Gaya.
होशो-हवास और ताबो-तवाँ दाग़ जा चुके,
अब हम भी जाने वाले हैं सामान तो गया।


Short Sad Shayari, Khate Rahe Fareb

Khate Rahe Fareb Sambhalte Rahe Kadam,
Chalte Rahe Junoon Ka Sahara Liye Huye.
खाते रहे फरेब संभलते रहे कदम,
चलते रहे जुनूं का सहारा लिये हुए।


Kahte Hain Ummid Pe Jeeta Hai Zamana,
Kya Kare Jiski Koi Ummid Nahi Hai.
कहते हैं उम्मीद पे जीता है जमाना,
क्या करे जिसकी कोई उम्मीद नहीं है।





Sad Shayari, Apna Ranjo-Gam De Do

Tum Apna Ranjo-Gam Apni Pareshani Mujhe De Do,
Tumhein Meri Kasam Yeh Dukh Yeh Hairani Mujhe De Do,
Yeh Maana Main Kisi Kabil Nahi Inn Nigahon Ke,
Bura Kya Hai Agar Iss Dil Ki Veerani Mujhe De Do.
तुम अपना रंजो-गम अपनी परेशानी मुझे दे दो,
तुम्हें मेरी कसम यह दुख यह हैरानी मुझे दे दो।
ये माना मैं किसी काबिल नहीं इन निगाहों में,
बुरा क्या है अगर इस दिल की वीरानी मुझे दे दो।


Sad Shayari, Na Khushion Ki Raunak

Bahut Khamoshi Se Gujri Ja Rahi Hai Zindgi,
Na Khushion Ki Raunak Na Gamo Ka Koi Shor,
Aahista Hi Sahi Par Kat Jayega Yeh Safar,
Na Aayega Dil Mein Uske Siwa Koi Aur.
बहुत खामोशी से गुजरी जा रही है जिन्दगी,
ना खुशियों की रौनक ना गमों का कोई शोर,
आहिस्ता ही सही पर कट जायेगा ये सफ़र,
ना आयेगा दिल में उसके सिवा कोई और।


Sad Shayari, Tabiyat Meri Udas Nahin



Mujhe Yeh Darr Hai Teri Aarzoo Na Mit Jaye,
Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udas Nahin.
मुझे ये डर है तेरी आरजू न मिट जाये,
बहुत दिनों से तबियत मेरी उदास नहीं।


Ab Toh Iss Raah Se Woh Shakhs Gujarta Bhi Nahi,
Ab Kis Ummid Pe Darwaaze Se Jhanke Koi.
अब तो इस राह से वो शख़्स गुज़रता भी नहीं,
अब किस उम्मीद पे दरवाज़े से झाँके कोई।




Hasrat Shayari Collection

Adhoori Hasraton Ka Aaj Bhi ilzaam Hai Tum Par,
Agar Tum Chahte Toh Yeh Mohabbat Khatm Na Hoti.
अधूरी हसरतों का आज भी इलज़ाम है तुम पर,
अगर तुम चाहते तो ये मोहब्बत ख़त्म ना होती।


Dast-e-Taqdeer Se Har Shakhs Ne Hissa Paya,
Mere Hisse Mein Tere Saath Ki Hasrat Aayi.
दस्त-ए-तक़दीर से हर शख्स ने हिस्सा पाया,
मेरे हिस्से में तेरे साथ की हसरत आई।


Sad Shayari, Tabahiyon Ka Gam Nahi

Apni Tabahiyon Ka Mujhe Koi Gam Nahi,
Tum Ne Kisi Ke Saath Mohabbat Nibha Toh Di.
अपनी तबाहियों का मुझे कोई ग़म नहीं
तुम ने किसी के साथ मोहब्बत निभा तो दी।


Tum Na Laga Paoge Andaza Meri Tabahi Ka,
Tumne Dekha Hi Kahan Hai Mujhko Shaam Ke Baad.
तुम ना लगा पाओगे अंदाजा मेरी तबाही का,
तुमने देखा ही कहाँ है मुझको शाम के बाद।


Iqbal Sad Shayari Collection

Duniya Ki Mehfil Se Ukta Gaya Hun Ya Rab,
Kya Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bujh Gaya Ho.
दुनिया की महफ़िलों से उकता गया हूँ या रब,
क्या लुत्फ़ अंजुमन का जब दिल ही बुझ गया हो।


Qaid-e-Mausam Se Tabiyat Rahi Aazad Uski,
Kaash Gulshan Mein Samjhta Koi Faritaad Uski.
क़ैद ए मौसम से तबीयत रही आज़ाद उसकी,
काश गुलशन में समझता कोई फ़रियाद उसकी।


Sad Shayari, Dilbar Badal-Badal Kar

Apna Toh Aashiqi Ka Kissa-e-Mukhtsar Hai,
Hum Ja Mile Khuda Se Dilbar Badal-Badal Kar.
अपना तो आशिकी का किस्सा-ए-मुख्तसर है,
हम जा मिले खुदा से दिलबर बदल-बदल कर।


Jeena Bhi Aa Gaya, Mujhe Marna Bhi Aa Gaya,
PahchanNe Laga Hun, Tumhari Najar Ko Main.
जीना भी आ गया, मुझे मरना भी आ गया,
पहचानने लगा हूँ, तुम्हारी नजर को मैं।


Mir Sad Shayari Collection

Jab Ki Pahlu Se Yaar UthhTa Hai,
Dard Be-Ikhtiyaar UthhTa Hai.
जब कि पहलू से यार उठता है,
दर्द बे-इख़्तियार उठता है।


Zakhm Jhele Daag Bhi Khaaye Bahut,
Dil Laga Kar Hum Toh Pachhtaye Bahut.
ज़ख़्म झेले दाग़ भी खाए बहुत,
दिल लगा कर हम तो पछताए बहुत।




Faiz Sad Shayari Collection

Na Gul Khile Hain Na Unse Mile Na May Pee Hai,
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Gujari Hai.
न गुल खिले हैं न उन से मिले न मय पी है,
अजीब रंग में अब के बहार गुज़री है।


Juda The Hum To Mayassar Thi Qurbatein Kitni,
Baham Huye Toh Padi Hai Judaayian Kya Kya.
जुदा थे हम तो मयस्सर थीं क़ुर्बतें कितनी,
बहम हुए तो पड़ी हैं जुदाइयाँ क्या क्या।


Sad Shayari, Woh Bajaar Mein Bik Gaye

Ek Kahani Si Dil Par Likhi Reh Gayi,
Woh Nazar Jo Use Dekhti Reh Gayi,
Woh Bajaar Mein Aakar Bik Bhi Gaye,
Meri Keemat Lagi Ki Lagi Reh Gayi.
एक कहानी सी दिल पर लिखी रह गयी,
वो नजर जो उसे देखती रह गयी,
वो बाजार में आकर बिक भी गए,
मेरी कीमत लगी की लगी रह गयी।


Sad Shayari, Humari Bekasi Dekhi Nahi Jaati

Idhar Se Aaj Woh Gujre Toh Munh Phere Hue Gujre
Ab Unn Se Bhi Humari Bekasi Dekhi Nahi Jaati.
इधर से आज वो गुजरे तो मुँह फेरे हुए गुजरे,
अब उन से भी हमारी बेकसी देखी नहीं जाती।


Woh Kab Ka Bhul Chuka Hoga Humari Wafa Ka Kissa,
Bichhad Ke Kisi Ko Kisi Ka Khyal Kab Rahta Hai.
वो कब का भूल चुका होगा हमारी वफ़ा का किस्सा,
बिछड़ के किसी को किसी का ख्याल कब रहता है।



Sad Shayari, Tere Haath Mein Patthar

Zakhm Sab Bhar Gaye Bas Ek Chubhan Baki Hai,
Haath Mein Tere Bhi Patthar Tha Hazaron Ki Tarah,
Paas Rehkar Bhi Kabhi Ek Nahi Ho Sakte,
Kitne Majboor Hain Dariya Ke Kinaro Ki Tarah.
ज़ख्म सब भर गए बस एक चुभन बाकी है,
हाथ में तेरे भी पत्थर था हजारों की तरह,
पास रहकर भी कभी एक नहीं हो सकते,
कितने मजबूर हैं दरिया के किनारों की तरह।


Sad Shayari, Barbaad Huye Mohbbat Mein

Kya Ajeeb Tha Unka Mujhe Chhod Ke Jana,
Suna Kuchh Nahi Aur Kahah Bhi Kuchh Nahi,
Kuchh Iss Tarah Barbaad Huye Unki Mohbbat Mein,
Loota Bhi Kuchh Nahi Aur Bacha Bhi Kuchh Nahi.
क्या अजीब था उनका मुझे छोड़ के जाना,
सुना कुछ नहीं और कहा भी कुछ नहीं,
कुछ इस तरह बर्बाद हुए उनकी मोहब्बत में,
लुटा भी कुछ नहीं और बचा भी कुछ नहीं।


Sad Shayari, Ranjish Hi Sahi

Ranjish Hi Sahi Dil Ko Dukhane Ke Liye Aa,
Aa Phir Se Mujhe Chhod Jaane Ke Liye Aa.
रंज़िश ही सही दिल को दुखाने के लिए आ,
आ फिर से मुझे छोड़ जाने के लिए आ।


Hota Hai Jis Jagah Meri Barbadiyon Ka Zikr,
Tera Bhi Naam Leti Hai Duniya Kabhi-Kabhi.
होता है जिस जगह मेरी बर्बादियों का जिक्र,
तेरा भी नाम लेती है दुनिया कभी-कभी।




Sad Shayari, Juda Hone Ki Chahat

Humne Pyar Mohabbat Nahi Ibaadat Ki Hai,
Rasmon Aur Riwajon Se Bagawat Ki Hai,
Manga Tha Humne Jise Apni Duaon Mein,
Usi Ne Mujhse Juda Hone Ki Chahat Ki Hai.
हमने प्यार मोहब्बत नहीं इबादत की है,
रस्मों और रिवाजों से बगावत की है,
माँगा था हमने जिसे अपनी दुआओं में,
उसी ने मुझसे जुदा होने की चाहत की है


Sad Shayari, Agar Tumko Gila Hai

Duniya Mein Tere Ishq Ka Charcha Na Karenge,
Mar Jayenge Lekin Tujhe Ruswa Na Karenge,
Qurban Karenge Kabhi Dil Jaan Tere Sadqe,
Tum Apna Bana Logi Toh Kya Kya Na Karenge,
Gustakh Nigaahon Se Agar Tumko Gila Hai,
Hum Door Se Bhi Ab Tumhe Dekha Na Karenge.


दुनिया में तेरे इश्क़ का चर्चा ना करेंगे,
मर जायेंगे लेकिन तुझे रुस्वा ना करेंगे,
कुर्बान करेंगे कभी दिल जान तेरे सदके,


Sad Shayari, Ranj-e-Safar Ki Nishaani

Kuchh YaadGar-e-Shahar-e-SitamGar Hi Le Chalein,
Aaye Hain Toh Phir Gali Se Patthar Hi Le Chalein,
Ranj-e-Safar Ki Koi Nishaani Toh Paas Ho,
Thodi Si Khak-e-Kucha-e-Dilbar Hi Le Chalein.
कुछ यादगार-ए-शहर-ए-सितमगर ही ले चलें,
आये हैं तो फिर गली में से पत्थर ही ले चलें,
रंज-ए-सफ़र की कोई निशानी तो पास हो,
थोड़ी सी ख़ाक-ए-कूचा-ए-दिलबर ही ले चलें।

Sad Shayari, Teri Wafa Ke Takaaje

Teri Wafa Ke Takaaje Badal Gaye Varna,
Meujhe Toh Aaj Bhi Tujhse Ajeej Koi Nahi.
तेरी वफ़ा के तकाजे बदल गये वरना,
मुझे तो आज भी तुझसे अजीज कोई नहीं।


Kya Ajeeb Khel Hai Iss Mohabbat Ka Bhi,
Kisi Ko Hum Na Mile Aur Koi Humein Na Mila.
क्या अजीब खेल है इस मोहब्बत का भी,
किसी को हम न मिले और कोई हमें न मिला।


Sad Shayari, Mera Khayal Na Aaya

Tamam Umr Usi Ke Khayal Mein Gujri,
Jise Umr Bhar Mera Khayal Na Aaya.
तमाम उम्र उसी के ख्याल में गुजरी,
जिसे उम्र भर मेरा ख्याल न आया।


Teri Khamoshi Agar Teri Majboori Hai,
Toh Rehne De Ishq Kaun Sa Jaruri Hai.
तेरी ख़ामोशी, अगर तेरी मज़बूरी है,
तो रहने दे इश्क़ कौन सा जरुरी है।





Sad Shayari, Samandar Ke Beech Kyun Fareb

Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum,
Ek Ishare Par Duniya Chhod Jate Hum,
Samandar Ke Beech Kyun Fareb Kiya Usne,
Kehte Toh Kinare Par Hi Doob Jate Hum.
पल पल उसका साथ निभाते हम,
एक इशारे पर दुनिया छोड़ जाते हम,
समन्दर के बीच में फरेब किया उसने,
कहते तो किनारे पर ही डूब जाते हम।


Sad Shayari, Mayusi Ke Lamhon Mein

Woh Mayusi Ke Lamhon Mein Jara Bhi Hausla Deta,
Toh Hum Kagaz Ki Kashti Pe Samandar Utar Jate.
वो मायूसी के लम्हों में ज़रा भी हौसला देता,
तो हम कागज़ की कश्ती पे समंदर उतर जाते।


Agar Tum Samjh Paate Meri Chaahat Ki Intehan,
Toh Hum Tumse Nahi, Tum Humse Mohabbat Karte.
अगर तुम समझ पाते मेरी चाहत की इन्तेहा,
तो हम तुमसे नहीं, तुम हमसे मोहब्बत करते।


Sad Shayari, Meri Barbadi Mein Tu Shamil

Apni Tasbir Ko Aankhon Se Lagata Kya Hai,
Ek Najar Meri Taraf Dekh Tera Jata Kya Hai,
Meri Barbadi Mein Tu Bhi Hai Barabar Ka Shamil,
Mere Kisse Tu Gairo Ko Sunata Kya Hai.
अपनी तस्वीर को आँखों से लगाता क्या है,
एक नज़र मेरी तरफ देख तेरा जाता क्या है,
मेरी बर्बादी में तू भी है बराबर का शामिल,
मेरे किस्से तू गैरों को सुनाता क्या है।


Sad Shayari, Mana Ke Tumko Pyar Nahi

Mana Ke Tumko Pyar Nahi,
Nafrat Hi Jataane Aa Jaao,
Sadiyon Se Jaagi Aankhon Ko,
Ek Baar Sulane Aa Jaao,
Jis Morh Pe Humko Chhod Gaye,
Hum Baithe Ab Tak Soch Rahe,
Kya Bhool Huyi Kyun Juda Huye,
Bas Yeh Samjhane Aa Jaao.


माना कि तुमको प्यार नहीं,


Sad Shayari, Rutha Hua Halaat Mera

Main Khamoshi Hun Tere Man Ki,
Tu Ankahaa Alfaaz Mera,
Main Ek Uljha Lamha Hun,
Tu Rutha Hua Halaat Mera.
मैं ख़ामोशी हूँ तेरे मन की,
तू अनकहा अलफ़ाज़ मेरा,
मैं एक उलझा लम्हा हूँ,
तू रूठा हुआ हालात मेरा।


Sad Shayari, Unse Pyaar Mat Karna

Koi Achha Lage Toh Unse Pyaar Mat Karna,
Unke Liye Apni Neendein Bekar Mat Karna,
Do Din Toh Aayenge Khushi Se Milne,
Teesre Din Kahenge Intezaar Mat Karna.
कोई अच्छा लगे तो उनसे प्यार मत करना,
उनके लिए अपनी नींदे बेकार मत करना,
दो दिन तो आएँगे खुशी से मिलने,
तीसरे दिन कहेंगे इंतज़ार मत करना।



Sad Shayari, Lagta Nahin Hai Dil

Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein,
Kiski Bani Hai Aalam-e-NaPayedar Mein,


Kah Do Inn Hasraton Se Kahin Aur Ja Basein,
Itni Jagah Kahaan Hai Dil-e-Daagdaar Mein,


Umr-e-Daraaz Maang Kar Laaye The Chaar Din,
Do Arzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein,


Kitna Hai BadNaseeb Zafar Dafn Ke Liye,


Sad Shayari, Yeh Udasiyan Kaisi

Chehre Par Yeh Udasiyan Kaisi,
Yeh Bhi Mujhse Sawaal Karte Ho,
Marna Chahe Toh Mar Nahi Sakte,
Tum Bhi Jeena Muhaal Karte Ho,
Ab Kis Kis Ki Misaal Dun Tumko,
Tum Har Sitam Be-Misaal Karte Ho.


चेहरे पर ये उदासियाँ कैसी,
ये भी मुझसे सवाल करते हो,
मरना चाहे तो मर नहीं सकते,


Sad Shayari, Yaar Ne Inayat Nahi Ki



Na Koi ilzaam, Na Koi Tanz, Na Koi Ruswai,
Din Bahut Ho Gaye Yaar Ne Koi Inayat Nahi Ki.
न कोई इल्जाम, न कोई तंज, न कोई रुसवाई,
दिन बहुत हो गए यार ने कोई इनायत नहीं की।


Kahani Ban Ke Jiye Hain Woh Dil Ke Aashiyane Mein,
Humko Bhi Lagegi Shadiyan Shayad Unhein Bhulane Mein.
कहानी बन के जियें हैं वो दिल के आशियानों में,
हमको भी लगेगी सदियाँ शायद उन्हें भुलाने में।


Sad Shayari, Mohabbat Mein Zeher

Karna Hi Tanz Hai Toh Hansne Ka Kya Takalluf,
Kyun Zeher De Rahe Ho Mohabbat Mila Mila Kar.
करना ही तंज़ है तो हंसने का क्या तकल्लुफ,
क्यूँ ज़हर दे रहे हो मोहब्बत मिला मिला कर।


Na Jaane Kis Tarah Ke Hain Iss Duniya Ke Log Bhi,
Pyar Bhi Pyar Se Karte Hain Aur Barbaad Bhi Pyar Se.
न जाने किस तरह के हैं दुनिया के लोग भी,
प्यार भी प्यार से करते हैं और बर्बाद भी प्यार से।


Sad Shayari, Wohi Shakhs Humara Nahi

Bagair Jiske Ek Pal Bhi
Gujara Nahi Hota,
Sitam Toh Dekhiye,
Bas Wohi Shakhs Humara Nahi Hota.
बगैर जिसके एक पल भी
गुजारा नही होता,
सितम तो देखिए.
बस वही शख्स हमारा नही होता।


Sad Shayari, Yeh Qaatilo Ka Shahar

Tu Berukh Hawa Mein Chahto Ka Diya,
Jalaane Ki Zid Na Kar,
Yeh Qaatilo Ka Shahar Hai,
Yehan Muskurane Ki Zid Na Kar.
तू बेरूख हवा में चाहतों का दिया,
जलाने की ज़िद न कर,
ये क़ातिलों का शहर है,
यहाँ मुस्कुराने की ज़िद न कर।


Sad Shayari, Naja
r Andazi Ka Shikwa

Najar Andaz Karne Ki Wajah Kya Hai Bata Bhi Do,
Main Wohi Hun Jise Tum Duniya Se Behtar Batati Thi.
नज़र अंदाज़ करने की वज़ह क्या है बता भी दो,
मैं वही हूँ जिसे तुम दुनिया से बेहतर बताती थी।


Aas Paas Tera Ehsaas Ab Bhi Liye Baithe Hain,
Tu Hi Najar Andaz Kare Toh Shikwa Kis Se Karein.
आस पास तेरा एहसास अब भी लिये बैठें हैं,
तू ही नज़र अंदाज़ करे तो शिकवा किससे करें।


Sad Shayari, Ishq Karna Hai Sazaa

Ishq Karna Toh Lagta Hai Jaise,
Mout Se Bhi Badi Ek Sazaa Hai,
Kya Kisi Se Shikayat Karein Hum,
Jab Apni Taqdir Hi Bewafa Hai.
इश्क करना तो लगता है जैसे,
मौत से भी बड़ी एक सजा है,
क्या किसी से शिकायत करें हम,
जब अपनी तकदीर ही बेवफा है।


Sad Shayari, Tere Milne Ki Fariyad

Meri Aankhon Mein Dekh Aakar Hasraton Ke Naksh,
Khwabon Mein Bhi Tere Milne Ki Fariyad Karte Hain.
मेरी आँखों में देख आकर हसरतों के नक्श,
ख़्वाबों में भी तेरे मिलने की फ़रियाद करते हैं।


Muskura Kar Unka Milna Aur Bichhadna Ruth Ke,
Bas Yahi Do Lafz Ek Din Daastan Ho Jayenge.
मुस्कुरा कर उन का मिलना और बिछड़ना रूठ के,
बस यही दो लफ़्ज़ एक दिन दास्ताँ हो जायेंगे।


Sad Shayari, Shishe Ka Muqaddar

Zamana Khada Hai Haatho Mein Patthar Lekar,
Kahan Tak Bhaagu Shishe Ka Muqaddar Lekar.
ज़माना खड़ा है हाथों में पत्थर लेकर,
कहाँ तक भागूं शीशे का मुक़द्दर लेकर।


Mat Puchh Sheeshe Se Uske Tootne Ki Wajah,
Usne Bhi Kisi Patthar Ko Apna Samjha Hoga.
मत पूछ शीशे से उसके टूटने की वजह,
उसने भी किसी पत्थर को अपना समझा होगा।


Sad Shayari, Bhula Dete Tumhein

Tum Dil Mein Na Samaate Toh Bhula Dete Tumhein,
Tum Itna Pass Na Aate Toh Bhula Dete Tumhein,
Yeh Kehte Huye Mera Talluq Nahi Tum Se Koi,
Aankhon Mein Aansu Na Aate Toh Bhula Dete Tumhein.
तुम दिल में न समाते तो भुला देते तुम्हें,
तुम इतना पास न आते तो भुला देते तुम्हें,
यह कहते हुए मेरा ताल्लुक नहीं तुमसे कोई,
आँखों में आंसू न आते तो भुला देते तुम्हें।


Sad Shayari, Na Khushi Ki Talaash

Na Khushi Ki Talaash Hai Na Gham-e-Nijaat Ki Aarzoo,
Main Khud Se Bhi Naraaj Hun Teri Naraajgi Ke Baad.
न ख़ुशी की तलाश है न ग़म-ए-निजात की आरज़ू,
मैं खुद से भी नाराज हूँ तेरी नाराज़गी के बाद।


Puchha Tha Haal Unhonein Meri Badi Muddaton Ke Baad,
Kuchh Gir Gaya Hai Aankh Mein Keh Kar Hum Ro Pade.
पूछा था हाल उन्होंने मेरा बड़ी मुद्दतों के बाद,
कुछ गिर गया है आँख में कह कर हम रो पड़े।


Sad Shayari, Simat Gayi Meri Ghazal

Simat Gayi Meri Ghazal Bhi Chand Alfazon Mein,
Jab Usne Kaha Mohabbat Toh Hai Par Tumse Nahi.
सिमट गयी मेरी ग़ज़ल भी चंद अल्फाजों में,
जब उसने कहा मोहब्बत तो है पर तुमसे नहीं।


Ab Soch Rahe Hain Seekh Hi Le Hum Bhi Berukhi Karna,
Mohabbat Dete Dete Sabko Humne Apni Hi Kadar Kho Di.
अब सोच रहे हैं सीख ही लें हम भी बेरुखी करना,
मोहब्बत देते देते सबको हमने अपनी ही कदर खो दी।


Sad Shayari, Dillagi Thi Use Hum Se

Dillagi Thi Use Hum Se Mohabbat Kab Thi,
Mehfil-e-Gair Se Uss Ko Fursat Kab Thi,
Kahte Toh Hum Mohabbat Mein Fanaah Ho Jate,
Uss Ke Vaadon Mein Par Woh Hakiqat Kab Thi.
दिल्लगी थी उसे हम से मोहब्बत कब थी,
महफ़िल-ए-गैर से उस को फुर्सत कब थी,
कहते तो हम मोहब्बत में फनाह हो जाते,
उस के वादों में पर वो हकीक़त कब थी।


Sad SNahi Hota Yakeen Phir Bhi Kar Hi Leta Hun,

Jahan Itne Hue Ek Aur Fareb Ho Jane Do.

नहीं होता यकीन फिर भी कर ही लेता हूँ,

जहाँ इतने हुए एक और फरेब हो जाने दो।

 

 

Shayad Isi Ko Kehte Hain Majburi-E-Hayat,

Ruk Si Gayi Hai Umr-e-Gurejan Tere Bagair.

शायद इसी को कहते हैं मजबूरी-ए-हयात,

रुक सी गयी है उम्र-ए-गुरेजां तेरे बगैर।hayari, Ek Aur Fareb



Sad Shayari, Mujh Par Karo Sitam

Mujh Par Karo Sitam Toh Taras Mat Khana,
Kyunki Khata Meri Hai Mohabbat Maine Ki Hai.
मुझ पर करो सितम तो तरस मत खाना,
क्योकि खता मेरी है मोहब्बत मैंने की है।


Mujhe Manjoor Tha Har Sitam Tera Mere Dil Par,
Par Tera Chhod Ke Jana Sazaa-e-Maut Ho Gayi.
मुझे मंज़ूर था हर सितम तेरा मेरे दिल पर,
पर तेरा छोड़ के जाना सजा-ए-मौत हो गयी।


Sad Shayari, Lamhon Ki Khata

Tawarikhon Mein Kuchh Aise Bhi Manzar Humne Dekhe Hain,
Ki Lamhon Ne Khata Ki Thi Aur Sadiyon Ne Sazaa Paayi.
तवारीखों में कुछ ऐसे भी मंजर हमने देखे है,
कि लम्हों ने खता की थी और सदियों ने सजा पाई।


Dekha To Woh Shakhs Bhi Mere Dushmano Mein Tha,
Naam Jiska Shaamil Meri Dhadhkano Mein Tha.
देखा तो वो शख्स भी मेरे दुश्मनों में था,
नाम जिसका शामिल मेरी धड़कनों में था।





Sad Shayari, Raat Bhar Mujhko Sone Na Diya

Raat Bhar Mujhko Gham-e-Yaar Ne Sone Na Diya,
Subah Ko Khauf-e-Shab-e-Taar Ne Sone Na Diya.
Shamaa Ki Tarah Meri Raat Kati Suli Par,
Chain Se Yaad-e-Kad-e-Yaar Ne Sone Na Diya.


रात भर मुझको ग़म-ए-यार ने सोने न दिया,
सुबह को खौफ़-ए-शब-ए-तार ने सोने न दिया,
शमा की तरह मेरी रात कटी सूली पर,
चैन से याद-ए-कद-ए-यार ने सोने न दिया।


Sad Shayari, Barson Ki Ibadat Haar Jati Hai

Zamane Se Suna Tha Ki Mohabbat Haar Jati Hai,
Jo Chahat Ek Taraf Ho Wo Chahat Haar Jati Hai,
Kahin Dua Ka Ek Lafz Asar Kar Jata Hai,
Aur Kahin Barson Ki Ibadat Bhi Haar Jati Hai.
ज़माने से सुना था कि मोहब्बत हार जाती है,
जो चाहत एक तरफ हो वो चाहत हार जाती है।
कहीं दुआ का एक लफ्ज़ असर कर जाता हैं,
और कभी बरसों की इबादत भी हार जाती है।


Sad Shayari, Taabir Jo Mil Jati

Taabir Jo Mil Jati Toh Ek Khwaab Bahut Tha,
Jo Shakhs Ganwa Baithe Woh Nayaab Bahut Tha,
Main Kaise Bacha Leta Bhala Kashti-e-Dil Ko,
Dariya-e-Mohabbat Mein Sailaab Bahut Tha.
ताबीर जो मिल जाती तो एक ख्वाब बहुत था,
जो शख्स गँवा बैठे है नायाब बहुत था,
मै कैसे बचा लेता भला कश्ती-ए-दिल को,
दरिया-ए-मुहब्बत मे सैलाब बहुत था।


Sad ShaMain Khayaal Hoon Kisi Aur Ka, Mujhe Sochta Koyi Aur Hai,

Sar-E-Aaina Mera Aks Hai, Pas-E-Aaina Koyi Aur Hai.

 

Main Kisi Ke Dast-E-Talab Mein Hoon, Toh Kisi Ke Harf-E-Duwa Mein Hoon,

Main Naseeb Hoon Kisi Aur Ka, Mujhe Maangata Koyi Aur Hai.

 

Kabhi Laut Aayein Toh Na Poochhna, Sirf Dekhna Bare Ghaur Se,

Jinhein Raaste Mein Khabar Huyi, Ke Yeh Raasata Koyi Aur Hai.

 

Ajab Aitbar-O-Be-Aitbari Ke Darmiyaan Hai Zindagi,yari, Khayaal Hoon Kisi Aur Ka






Naseeb Shayari Collection

Mujhe Tujhse Koyi Shikwa Ya Shikayat Nahi,
Shayad Mere Naseeb Mein Teri Chahat Nahi,
Meri Takdir Likh Kar Khuda Bhi Muqar Gaya,
Maine Puchha Toh Bola Yeh Meri Likhawat Nahi.
मुझे तुझसे कोई शिकवा या शिकायत नहीं,
शायद मेरे नसीब में तेरी चाहत नहीं है,
मेरी तकदीर लिखकर खुदा भी मुकर गया,
मैंने पूछा तो बोला ये मेरी लिखावट नहीं है।


Sad Shayari, Zakhm Na Bharte Dekhe

Kaash Aa Jaye Woh Mujhe Jaan Se Gujarte Dekhe,
Khwahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharte Dekhe,


Woh Saleeke Se Hua Hum Se Gurejan Varna,
Log Toh Saaf Mohabbat Se Mukarte Dekhe,


Waqt Hota Hai Har Ek Zakhm Ka Marham,
Phir Bhi Kuchh Zakhm The Jo Na Bharte Dekhe.


Sad Shayari, Wafaon Ka Sila Deta Koyi

Dua Nahi Toh Gila Deta Koyi,
Meri Wafaon Ka Sila Deta Koyi,


Jab Muqaddar Hi Nahi Tha Apna,
Deta Bhi Toh Bhala Kya Deta Koyi,


Hasil-e-Ishq Faqat Dard Hai,
Yeh Kaash Pahle Bata Deta Koyi,


Taqdeer Nahi Thi Agar Aamaan Chhune Ki,


Sad Shayari, Tarasti Hain Teri Deed Ko Aankhein

Mere Aagan Mein Bhi Kabhi Phool Khila Karte The,
Meri Aankho Mein Bhi Kuchh Khwab Basaa Karte The,


Mujh Ko Halaat Ki Aandhi Ne Giraya Varna,
Mere Seene Mein Bhi Kuchh Log Raha Karte The,


Hai Mujhe Yaad Rafaqat Ki Woh Gehrayian Abhi Bhi,
Dil Khi Dhadkan Bhi Teri Saaf Suna Karte The,


Aaj Mehfil Mein Woh Anjaan Bane Baithe Hain




Hindi Sad Shayari on Lamha

Dil Se Roye Magar Hotho Se Muskura Baithe,
Yun Hi Hum Kisi Se Wafa Nibha Baithe,
Wo Hamein Ek Lamha Na De Paye Pyaar Ka,
Aur Hum Unke Liye Zindgi Luta Baithe.
दिल से रोये मगर होंठो से मुस्कुरा बैठे,
यूँ ही हम किसी से वफ़ा निभा बैठे,
वो हमे एक लम्हा न दे पाए प्यार का,
और हम उनके लिये जिंदगी लुटा बैठे।


Sad ShaKya Batau Kaise Khud Ko Dar-Ba-Dar Maine Kiya,

Umr Bhar Kis Kis Ke Hisse Ka Safar Maine Kiya,

Tu Toh Nafrat Bhi Na Kar Payega Iss Shiddat Ke Saath,

Jis Bala Ka Pyaar Bekhabar Tujhse Maine Kiya.

क्या बताऊँ कैसे खुद को दर-ब-दर मैंने किया,

उम्र भर किस किस के हिस्से का सफ़र मैंने किया,

तू तो नफरत भी न कर पायेगा इस शिद्दत के साथ,

जिस बला का प्यार बेखबर तुझसे मैंने किया।yari, Pyaar Bekhabar Tujhse Kiya



Sad Shayari, Adhure Ishq Ki Muqammal Yaad

Khatm Ho Gayi Kahani Bas Kuchh Alfaz Baaki Hain,
Ek Adhure Ishq Ki Ek Muqammal Si Yaad Baki Hai.
ख़त्म हो गई कहानी बस कुछ अलफाज बाकी हैं,
एक अधूरे इश्क की एक मुकम्मल सी याद बाकी है।


Bahut The Mere Bhi Iss Duniya Mein Apne,
Phir Hua Ishq Aur Hum Lawarish Ho Gaye.
बहुत थे मेरे भी इस दुनिया मेँ अपने,
फिर हुआ इश्क और हम लावारिस हो गए।


Sad Shayari, Silsila Ulfat Ka

Yeh Silsila Ulfat Ka Chalta Hi Reh Gaya,
Dil Ki Chah Mein Dilbar Machalta Hi Reh Gaya,
Kuchh Der Ko Jal Ke Shama Khamosh Ho Gayi,
Parwana Magar Sadiyon Tak Jalta Hi Reh Gaya.
ये सिलसिला उल्फत का चलता ही रह गया,
दिल चाह में दिलबर के मचलता ही रह गया,
कुछ देर को जल के शमां खामोश हो गई,
परवाना मगर सदियों तक जलता ही रह गया


Sad ShMohabbat Mangi Thi Mohabbat Ke Badle,

Tum Woh Bhi Humko De Na Sake,

Dil Ko Chaha Jab Kahin Aur Behlana,

Iss Baat Ko Bhi Tum Seh Na Sake,

Hum Kisi Ko Apna Banayein Yahan,

Shyad Yeh Kismat Ko Manjoor Nahi Tha,

Aapka Iss Kadar Humse Ruthna,

Mohabbat Ka Dastoor Toh Nahi Tha.

 

मोहब्बत मांगी थी मोहब्बत के बदले,ayari, Mohabbat Ka Dastoor



Sad Sawaal Shayari Collection

Aap Hote Jo Mere Saath Toh Achha Hota,
Baat Ban Jati Agar Baat Toh Achha Hota,
Sabne Manga Hai Mujhse Muhabbat Ka Jawab,
Aap Kerte Jo Sawalat Toh Achha Hota.
आप होते जो मेरे साथ तो अच्छा होता,
बात बन जाती अगर बात तो अच्छा होता,
सबने माँगा है मुझसे मुहब्बत का जवाब,
आप करते जो सवालात तो अच्छा होता।


Sad Shayari, Sab Humse Khafa Rehte Hain



Jaane Kya Kami Hai Hum Mein Ya Khuda,
Jaane Kyu Sab Humse Khafa Rehte Hain,
Humne To Chaha Banana Sab Ko Apna,
Jaane Kyu Sab Humse Juda Rahte Hain.
जाने क्या कमी है हम में या खुदा,
जाने क्यूँ सब हम से खफा रहते हैं,
हमने तो चाहा बनाना सब को अपना,
जाने क्यूँ सब हमसे जुदा रहते हैं।


Sad Shayari, Kya Jamana Chahta Hai

Jaane Kya Mujhse Zamana Chahta Hai,
Mera Dil TodKar Mujhe Hansana Chahta Hai,
Jaane Kya Baat Hai Mere Chehre Mein,
Har Shakhs Mujhe Aajmana Chahta Hai.
जाने क्या मुझसे ज़माना चाहता है,
मेरा दिल तोड़कर मुझे हँसाना चाहता है,
जाने क्या बात है मेरे इस चेहरे से,
हर शख्स मुझे आज़माना चाहता है।


Sad Shayari on Jubaan

Teri Zuban Ne Kuchh Kaha Toh Nahi Tha,
Fir Na Jane Kyun Meri Aankh Nam Ho Gayi.
तेरी ज़ुबान ने कुछ कहा तो नहीं था,
फिर ना जाने क्यों मेरी आँख नम हो गयी।


Naam Uska Zubaan Par Aate Aate Ruk Jata Hai,
Jab Koyi Mujhse Meri Akhiri Khwahish Puchhta Hai.
नाम उसका ज़ुबान पर आते आते रुक जाता है,
जब कोई मुझसे मेरी आखिरी ख्वाहिश पूछता है।





Sad Shayari, Jab Bhi Unki Gali Se

Jab Bhi Unki Gali Se Gujarte Hain,
Meri Ankhein Ek Dastak De Deti Hain,
Dukh Yeh Nahi Woh Darwaja Band Kar Dete Hain,
Khushi Yeh Hai Woh Mujhe Pehchan Lete Hain.
जब भी उनकी गली से गुज़रते हैं,
मेरी आँखें एक दस्तक दे देती हैं,
दुःख ये नहीं वो दरवाजा बंद कर देते हैं,
ख़ुशी ये है कि वो मुझे पहचान लेते हैं।


Sad Shayari, Waqt Shayari

Na To Tum Bure Sanam Na Hi Hum Bure Hain,
Kuchh Kismat Buri Hai Kuchh Waqt Bura Hai.
ना तो तुम बुरे सनम, ना ही हम बुरे हैं,
कुछ किस्मत बुरी है और कुछ वक्त बुरा है।


Log Kehte Hain Ki Waqt Kisi Ka Gulam Nahi Hota,
Fir Kyun Tham Sa Jata Hai Gamo Ke Daur Mein.
लोग कहते हैं वक्त किसी का गुलाम नही होता,
फिर क्यूँ थम सा जाता है ग़मों के दौर में?


Sad ilzam Shayari Collection

Wafa Maine Nahi Chhodi Mujhe ilzam Mat Dena,
Mera Saboot Mere Ashq Hain Mera Gawah Mera Dard Hai.
वफ़ा मैंने नहीं छोड़ी मुझे इलज़ाम मत देना,
मेरा सबूत मेरे अश्क हैं मेरा गवाह मेरा दर्द है।


Bas Yehi Soch Kar Koyi Safai Nahi Di Humne,
Ki ilzam Jhuthe Hi Sahi Par Lagaye To Tumne Hain.
बस यही सोचकर कोई सफाई नहीं दी हमने।
कि इलज़ाम झूठे ही सही पर लगाये तो तुमने हैं।


Sad Shayari, Chahat Ki Tamanna

Chhuta Jo Tera Haath To Hum Toot Ke Roye,
Tum Jo Rahe Saath Toh Hum Toot Ke Roye,
Chahat Ki Tamanna Thi Aur Zakhm Diye Tumne,
Paayi Jo Yeh Saugaat Toh Hum Toot Ke Roye.
छूटा जो तेरा हाथ तो हम टूट के रोये,
तुम जो ना रहे साथ तो हम टूट के रोये,
चाहत की तमन्ना थी और ज़ख़्म दिए तुमने,
पायी जो यह सौगात तो हम टूट के रोये।


Sad Udasi Shayari, Aankhon Ki Udasiyan

Ek Baar Dekh To Lete Meri Aankhon Ki Udasiyan,
Meri Muskurahaton Se Tum Kyun Fareb Kha Gaye.
एक बार देख तो लेते आँखों की उदासियाँ,
मेरी मुस्कराहट से तुम क्यूँ फरेब खा गए।


Jo Ho Sake To Chale Aao Aaj Meri Taraf,
Mile Bhi Der Ho Gayi Aur Jee Bhi Udaas Hai.
जो हो सके तो चले आओ आज मेरी तरफ़,
मिले भी देर हो गई और जी भी उदास है।


Sad Shayari, Wafa Ka Sila Dete Hain Log


Duniya Mein Kahan Wafa Ka Sila Dete Hain Log,
Ab Toh Mohabbat Ki Bhi Saja Dete Hain Log,
Pehle Sajate Hain Dilo Mein Chahton Ke Khwab,
Fir Aitbar Ko Aag Laga Dete Hain Log.
दुनिया में कहाँ वफा का सिला देते हैं लोग,
अब तो मोहब्बत की सजा देते हैं लोग,
पहले सजाते हैं दिलो में चाहतों का ख्वाब,
फिर ऐतबार को आग लगा देते हैं लोग।


Sad Shayari, Na Gam Ki Khushi Mujhe

Ab Toh Khushi Ka Gam Hai Na Gam Ki Khushi Mujhe,
Be-His Bana Chuki Hai Bahut Zindagi Mujhe,
Woh Waqt Bhi Khuda Na Dikhaye Kabhi Mujhe,
Ke Unki Nadamaton Pe Ho Sharmindgi Mujhe.
अब तो ख़ुशी का ग़म है न ग़म की ख़ुशी मुझे,
बे-हिस बना चुकी है बहुत ज़िंदगी मुझे,
वो वक़्त भी ख़ुदा न दिखाए कभी मुझे,
कि उन की नदामतों पे हो शर्मिंदगी मुझे।


Sad Shayari, Chahat Par Ikhtiyar

Kitna Ikhtiyar Tha Usse Apni Chaahat Par,
Jab Chaaha Yaad Kiya Jab Chaaha Bhula Diya,
Janta Hai Woh Mujhe Bahlane Ke Tareeke,
Jab Chaaha Hansa Diya Jab Chaaha Rula Diya.
कितना इख़्तियार था उसे अपनी चाहत पर,
जब चाहा याद किया जब चाहा भुला दिया,
जानता है वो मुझे बहलाने के तरीके,
जब चाहा हँसा दिया जब चाहा रुला दिया।






Sad Shayari, Kisi Ki Raah Mein Aankhein

Kisi Ki Raah Mein Aankhein
Bichha Kar Kuchh Nahi Milta,
Yeh Duniya Bewafa Hai Dil
Laga Kar Kuchh Nahi Milta,
Koi Bhi Laut Kar Aata Nahi
Aansoo Bahane Se,
Kisi Ki Yaad Mein Dil Ko
Rula Kar Kuchh Nahi Milta.


किसी की राह में आँखें


Sad Shayari, Meri Tumhare Liye Tadap

Zindagi Ke Kisi Mod Par
Agar Tum Laut Bhi Aaye To Kya Hai.
Woh Lamhaat, Woh Jazbat,
Woh Andaaz To Na Ab Lautenge Kabhi.
Aur...
Shayad Meri Tumhare Liye Tadap Bhi.


जिंदगी के किसी मोड़ पर
अगर तुम लौट भी आये तो क्या है,
वो लम्हात, वो जज्बात,


Sad Shayari, Usko Aarzoo Bana Ke Roye



Kisi Ki Yaad Ko Dil Mein Basa Ke Roye Hain,
Kisi Ki Tasveer Ko Seene Se Laga Ke Roye Hain.
किसी की याद को दिल में बसा के रोये हैं,
किसी की तस्बीर को सीने से लगा के रोये हैं।


Jo Wada Kiya Tha Hum Ne Kisi Ke Saath,
Uss Wade Ko Dil Se Nibha Ke Roye Hain.
जो वादा किया था हम ने किसी के साथ,
उस वादे को दिल से निभा के रोये हैं।


Sad Shayari, Haseen ilzaam Tha Tera Naam

Tohmatein Toh Lagti Rahin
Roz Nayi Nayi Hum Par,
Magar Jo Sabse Haseen ilzaam Tha
Woh Tera Naam Tha.
तोहमते तो लगती रही
रोज़ नयी नयी हम पर,
मगर जो सबसे हसीन इलज़ाम था
वो तेरा नाम था।


Udaasi Shayari in Hindi, Udaas Rahne Ki Aadat Daal Di Usne

Mohabbat Ki Saza Be-Misal Di Usne,
Udaas Rehne Ki Aadat Si Daal Di Usne,
Maine Jab Apna Banana Chaha Usko,
Baaton Baaton Mein Baat Taal Di UsNe.
मोहब्बत की सजा बेमिसाल दी उसने,
उदास रहने की आदत सी डाल दी उसने,
मैंने जब अपना बनाना चाहा उसको,
बातों बातों में बात टाल दी उसने।


Sad Shayari, Zakhm Chahat Ke

Apni Aankho Ke Samandar Mein Utar Jaane De,
Tera Muzrim Hoon Mujhe Doob Ke Mar Jane De.


Aye Naye Dost Main Samjhunga Tujhe Bhi Apna,
Pehle Maazi Ka Koyi Zakhm Toh Bhar Jaane De.


Aag Duniya Ki Lagayi Huyi Bujh Jayegi Ek Din,
Koyi Aanshu Mere Daaman Par Bikhar Jaane De.


Zakhm Kitne Teri Chahat Mein Mile Hain Mujhko,


Sad Shayari, Rone Lagoge Daastaan Sunkar

Zid Mat Kiya Karo Meri Daastaan SunNe Ki,
Main Hans Kar Bhi Kahunga Toh Tum Rone Lagoge.
ज़िद मत किया करो मेरी दास्तान सुनने की,
मैं हँस कर भी कहूँगा तो तुम रोने लगोगे।


Hum Par Jo Gujri Hai Tum Kya Sun Paaoge,
Nazuk Sa Dil Rakhte Ho Rone Lag Jaaoge.
हम पर जो गुजरी है, तुम क्या सुन पाओगे,
नाजुक सा दिल रखते हो, रोने लग जाओगे।


Sad shayari, Teri Zulf Ke Pencho Se

Mil Gaya Tha Jo Muqaddar Wo Kho Ke Nikla Hoon,
Main Ek Lamha Hu Bas Ro Ro Ke Nikla Hoon,
Raah-E-Duniya Me Mujhe Koi Bhi Dushwari Nahi,
Main Teri Zulf Ke Pencho Se Ho Ke Nikla Hoon.
मिल गया था जो मुकद्दर वो खो के निकला हूँ,
मैं एक लम्हा हूँ बस रो रो के निकला हूँ,
राह-ए-दुनिया में मुझे कोई भी दुश्वारी नहीं,
मैं तेरी ज़ुल्फ़ के पेंचों से हो के निकला हूँ।


Hindi Urdu Sad Shayari of Mirza Ghalib

Ta Hum Ko Shiqayat Ki Bhi Baqi Na Rahe Ja,
Sun Lete Hain Go Zikr Humara Nahi Karte,
Ghalib Tera Ahawal Suna Denge Hum Unko,
Woh Sun Ke Bula Lein Ye Ijara Nahi Karte.
ता हम को शिकायत की भी बाक़ी न रहे जा,
सुन लेते हैं गो ज़िक्र हमारा नहीं करते।
ग़ालिब तेरा अहवाल सुना देंगे हम उनको,
वो सुन के बुला लें ये इजारा नहीं करते।


Ghalib Sad Shayari Collection

Ishrat-e-Qatra Hai Dariya Mein Fanaah Ho Jana,
Dard Ka Hadd Se Gujarna Hai Dawa Ho Jana.
इशरत-ए-क़तरा है दरिया में फ़ना हो जाना,
दर्द का हद से गुज़रना है दवा हो जाना।


Siskiyan Leta Hai Wajood Mera Galib,
Nonch Nonch Kar Kha Gayi Teri Yaad Mujhe.
सिसकियाँ लेता है वजूद मेरा गालिब,
नोंच नोंच कर खा गई तेरी याद मुझे।


Sad Shayari, Wafa Ki Talash Mein

Mana Ke Galat Hum Hi The Jo Tum Se Mohbbat Kar Baithe,
Par Royegi Tu Bhi Bahut Aisi Wafa Ki Talash Mein.
माना कि गलत हम ही थे जो तुमसे मोहब्बत कर बैठे,
पर रोएगी तू भी बहुत ऐसी वफ़ा की तलाश में।


Woh Saath Thi To Mano Jannat Thi Zindagi, Dosto
Ab Toh Har Saans Zinda Rehne Ki Wajah Poochti Hai.
वो साथ थी तो मानो जन्नत थी जिंदगी दोस्तों,
अब तो हर सांस जिंदा रहने कि वजह पूछती है


Sad Shayari, Teer Jigar Ke Paar

Woh Jiska Teer Chupke Se Jigar Ke Paar Hota Hai,
Woh Koyi Gair Hota Nahi Apna Rishtedaar Hota Hai,
Kisi Se Apne Dil Ki Baat Tu Kehna Na Bhule Se,
Yeha Khat Bhi Zara Si Der Mein Akhbar Hota Hai.
वो जिसका तीर चुपके से जिगर के पार होता है,
वो कोई गैर होता नहीं अपना रिश्तेदार होता है,
किसी से अपने दिल बात तू कहना न भूले से,
यहाँ ख़त भी ज़रा सी देर में अखबार होता है।










Very Sad Love Shayari, Pehli Mohabbat Ka Anzaam

Aashoo Aa Jate Hain Rone Se Pahle,
Khwaab Toot Jate Hain Sone Se Pahle,
Log Kahte Hain Mohabbat Gunaah Hai,
Kash...
Koyi Rok Leta Ise Hone Se Pahle!
आँसू आ जाते हैं रोने से पहले,
ख्वाब टूट जाते हैं सोने से पहले,
लोग कहते हैं मोहब्बत गुनाह है,
काश...
कोई रोक लेता इसे होने से पहले।


Sad Shayari, Mohabbat Ke Zakhm

Mujhe Yakeen Hai Mohabbat Uss Ko Kehte Hain,
Ki Zakhm Taza Rahe Aur Nishan Chala Jaye.
मुझे यकीन है मोहब्बत उसी को कहते हैं,
कि जख्म ताज़ा रहे और निशान चला जाये।


Mohabbat Ki Misaal Mein, Bas Itna Hi Kahunga,
Bemisal Saja Hai Kisi Be-Gunaah Ke Liye.
मौहब्बत की मिसाल में, बस इतना ही कहूँगा।
बेमिसाल सज़ा है, किसी बेगुनाह के लिए।


Sad Shayari, Tazurba Mohabbat Ka

Tazurba Kehta Hai,
Mohabbat Se Kianara Kar Lu,
Aur Dil Kahta Hai,
Yeh Tazurba Dobara Kar Lu.
तजुर्बा कहता है,
मोहब्बत से किनारा कर लूँ,
और दिल कहता है,
ये तज़ुर्बा दोबारा कर लूँ।


Sad Shayari, Mohabbat Tanha Kar Jati Hai

Is Ishq Ki Parwah Mein,
Ham Akele Ho Gaye,
Sach Kehte Hain Log,
Mohabbat Tanha Kar Jati Hai.
इस इश्क की परवाह में,
हम तन्हा हो गये,
सही कहते थे लोग,
मोहब्बत तनहा कर जाती है।

Hindi Sad Shayari, Teri Khamoshi Takleef Deti Hai



Saari Duniya Ke Rooth Jane Se,
Mujhe Koyi Fark Nahi Padta,
Bas Ek Tera Khamosh Rahna,
Bahut Takleef Deta Hai.
सारी दूनिया के रूठ जाने से
मुझे कोई फर्क नहीं पड़ता,
बस एक तेरा खामोश रहना
बहुत तकलीफ देता है


Sad Shayari, Tumhe Ghairon Se Kab Fursat

Tumhe Ghairon Se Kab Fursat
Hum Apne Gham Se Kab Khaali,
Chalo Bas Ho Chuka Milna
Na Tum Khaali Na Hum Khaali.
तुम्हें ग़ैरों से कब फुर्सत
हम अपने ग़म से कब ख़ाली,
चलो बस हो चुका मिलना
न तुम ख़ाली न हम ख़ाली।


Sad Shayari, Teri Wafa Tera Husn

Na Chahat Na Mohabbat Na Ishq Na Wafa,
Kuchh Bhi Toh Nahi Tha Uss Ke Paas Ek Husn Ke Siwa.
न चाहत न मोहब्बत न इश्क़ और न वफ़ा,
कुछ भी तो नहीं था उस के पास इक हुस्न के सिवा।


Tere Husn Pe Tareefon Bhari Kitaab Likh Deta,
Kash... Teri Wafa Tere Husn Ke Barabar Hoti.
तेरे हुस्न पे तारीफों भरी किताब लिख देता,
काश... तेरी वफ़ा तेरे हुस्न के बराबर होती।


Sad Shayari, Pyar Ke Zakhm

Pyaas Itni Hai Meri Rooh Ki Gehrayi Mein,
Ashq Girta Hai Toh Daaman Ko Jala Deta Hai.
प्यास इतनी है मेरी रूह की गहराई में,
अश्क गिरता है तो दामन को जला देता है।


Seekh Kar Gaya Hai Woh Mohabbat Mujhse,
Jis Se Bhi Karega Be-Misaal Karega.
सीख कर गया है वो मोहब्बत मुझसे,
जिस से भी करेगा बेमिसाल करेगा।


Sad Shayari, Tere Khatir Aashiq Udaas Hai

Itani Bechaini Se Tumko Kiski Talash Hai,
Wo Kaun Hai Jo Teri Aankho Ki Pyaas Hai,
Jabse Mila Hoon Tumse Yehi Sochta Hoon Main,
Kyun Mere Dil Ko Ho Raha Tera Ehsaas Hai,
Zindgi Ke Is Mod Pe Tum Aake Humse Yun Mile,
Jaise Ki Koyi Manzil Mere Itne Paas Hai,
Ek Nazar Ki Aas Me Takta Hoon Main Tujhe,
Ab Dekh Tere Khatir Ek Aashiq Udaas Hai.


इतनी बेचैनी से तुमको किसकी तलाश है,


Sad Status, Khali Dil Ka Makaan Rahne Diya

Umra Bhar Khali Yun Hi
Dil Ka Makaan Rahne Diya,
Tum Gaye To Doosare Ko
Fir Na Yahan Rahne Diya,
Umra Bhar Usne Bhi Mujhse
Mera Gham Poochha Nahi,
Maine Bhi Khwahishon Ko
Apni Bezabaan Rahne Diya.


उम्र भर खाली यूँ ही

Sad Shayari, Pyar Ke Jazbaat



Dil Se Mile Dil Toh Saza Dete Hain Log,
Pyaar Ke Jazbaaton Ko Duba Dete Hain Log,
Do Insaanon Ko Milte Kaise Dekh Sakte Hain,
Saath Baithe Do Parindo Ko Bhi Uda Dete Hain Log.
दिल से मिले दिल तो सजा देते हैं लोग​,
​प्यार के जज्बातों को डुबा देते हैं लोग,
​दो इँसानो को मिलते कैसे देख सकते हैं,
साथ बैठे दो परिन्दो को उड़ा देते हैं लोग।



Sad Shayari, Mohabbat Jo Main Na De Saka

Meri Ladkhadahat Tum Mujh Tak Hi Rahne Do,
Jo Baat Hosh Ki Kar Di To Behosh Ho Jaaoge.
मेरी लड़खड़ाहट तुम, मुझ तक ही रहने दो,
जो बात होश की कर दी, तो बेहोश हो जाओगे।


Main Qabil-e-Nafrat Hu To Chhod Do Mujhko,
Yu Mujhse Dikhaave Ki Mohabbat Na Kiya Karo.
मैं क़ाबिल-ए-नफ़रत हूँ तो छोड़ दो मुझको,
यूं मुझसे दिखावे की मोहब्बत ना किया करो।


Sad Sayari, Tarasi Huyi Nigaah Ki Fariyad

Hamein Bhi Yaad Rakhein
Jab Likhen Tareekh Gulshan Ki,
Ki Humne Bhi Lutaya Hai
Chaman Mein Aashiyan Apna.
हमें भी याद रखें
जब लिखें तारीख गुलशन की,
कि हमने भी लुटाया है
चमन में आशियां अपना


Sad Shayari, Tu Badal Gaya Halat Ki Tarah

Zindgi Se Meri Aadat Nahi Milti,
Mujhe Jeene Ki Surat Nahi Milti,
Koyi Mera Bhi Kabhi Humsafar Hota,
Mujhe Hi Kyun Mohabbat Nahi Milti.
ज़िन्दगी से मेरी आदत नहीं मिलती,
मुझे जीने की सूरत नहीं मिलती,
कोई मेरा भी कभी हमसफ़र होता,
मुझे ही क्यूँ मुहब्बत नहीं मिलती।


Sad Shayari, Uske Bagair Zindagi

Jeena Toh Padega Faqat Duniya Ko Dikhane Ke Liye,
Varna Maine Kab Chaahi Thi Uske Bagair Zindgi.
जीना तो पड़ेगा फ़क़त दुनियाँ को दिखाने के लिये,
वरना मैनें कब चाही थी उसके बगैर जिदंगी।


Khud Ko Likhte Huye Har Baar Likha Hai Tumko,
Is Se Zyada Koyi Zindgi Ko Kya Likhta?
खुद को लिखते हुए हर बार लिखा है तुमको,
इससे ज्यादा कोई जिंदगी को क्या लिखता?


Sad Shayari, Mohabbat Mein Barbaad

Kuchh Log Pasand Karne Lage Hain Alfaaz Mere,
Matlab Mohabbat Mein Barbad Aur Bhi Huye Hain.
कुछ लोग पसंद करने लगे हैं अल्फाज मेरे,
मतलब मोहब्बत में बरबाद और भी हुए हैं।


Teri Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koyi,
Itni Saadgi Se Barbaad Koyi Gair Nahi Karta.
तेरी हालत से लगता है तेरा अपना था कोई,
इतनी सादगी से बरबाद कोई गैर नहीं करता।


Sad Shayari, Mohabbat Ki Takleef

Usko Chaha To
Mohabbat Ki Takleef Najar Aayi,
Varna Is Mohabbat Ki
Bas Tareef Suna Karte The.
उसको चाहा तो
मोहब्बत की तकलीफ नजर आई,
वरना इस मोहब्बत की
बस तारीफ़ सुना करते थे


Sad Shayari, Bichhada Iss Kadar Ke

Bichhada Iss Kadar Ki Rut Hi Badal Gayi,
Ek Shakhs Sare Shahar Ko Veeran Kar Gaya!
बिछड़ा इस कदर से के रुत ही बदल गयी,
एक शख्स सारे शहर को वीरान कर कर गया।


Kuchh Iss Adaa Se Tode Hain Talluq Usne,
Ek Mudaat Se Dhoondh Raha Hun Kasoor Apna.
कुछ इस अदा से तोड़े है ताल्लुक उसने,
एक मुद्दत से ढूंढ़ रहा हूँ कसूर अपना।


Sad Shayari, Tum Na Mil Sake

Ek Tum Hi Na Mil Sake
Varna...
Milne Wale Toh
Bichhad Bichhad Ke Mile!
एक तुम ही न मिल सके
वरना...
मिलने वाले तो
बिछड़ बिछड़ के मिले।

बिहार: वार्ड सदस्य अपने घर से करती थी धंधा, सुरंग बनाकर होता था ये काम, जानिए

Third party picture

पटना [जेएनएन]। सलारपुर पंचायत की वार्ड सदस्य पूनम देवी उर्फ रेखा देवी के घर में बनी पानी की टंकी से पुलिस ने रविवार को 50 लीटर महुआ से बनी देसी शराब बरामद किया है।
वार्ड सदस्य अपने घर से शराब का कारोबार करती थी, पुलिस को इस कारोबार का पता नहीं चले, इसके लिए मुख्य तौर से  अंडरग्राउड टंकी बनाई गई थी। थाना अध्यक्ष सरफराज अहमद ने बताया कि सूचना मिल रही थी कि फरीदपुर बाजार में देसी शराब बेची जा रही है।
रविवार की सुबह थानाध्यक्ष ने एक टीम गठित कर मंटू चौधरी उर्फ प्रमोद चौधरी के घर में छापेमारी की गई, लेकिन कुछ नहीं मिला। पुलिस टीम लौट रही थी कि किसी ने सूचना दी कि घर में ही शराब बनाई जाती है। छानबीन में पता चला कि बेसमेंट में एक कमरे में शराब एक टंकी में बनाकर रखी जाती है।

सुरंग बनाकर होती थी शराब की चुलाई 
घर की तलाशी ली गई पता चला कि बेसमेंट में शराब के लिए बनी टंकी को एक सुरंग के जरिए जोड़ा गया है, जिसकी सहायता से शराब की चुलाई की जा रही है। घर के कमरे में प्लास्टिक के छोटे और बड़े कई ड्रम को गाड़ कर सीमेंट-बालू से प्लास्टर कर सुरंग के जरिए शराब की चुलाई कर ड्रम (टंकी) में रखी जाती थी।

पुलिस ने घर से कई ड्रम और शराब बनाने के उपकरण जब्त किए हैं। पुलिस मंटू चौधरी, उसकी पत्नी पूनम देवी उर्फ रेखा देवी और पुत्री श्वेता कुमारी को गिरफ्तार कर थाने ले आई। पूछताछ के तीनों को जेल भेज दिया गया। पूनम देवी सलालपुर पंचायत के वार्ड नंबर एक की वार्ड सदस्य है।

दो तल्ले के मकान में बनाई जाती थी शराब
बता दें कि वार्ड सदस्य का दो तल्ला मकान है। निचले तल्ले के बेसमेंट में बने एक कमरे में कई ड्रम को गाड़कर टंकी बनाई गई गई थी। महुआ को तसले में रखकर गलाने के बाद उससे बनी शराब उस टंकी रखी जाती थी। फिर उसे बाजार में बेचा जाता था। मंटू की एक किराना की दुकान है। अपने टेम्पो से आसपास के इलाकों में भी शराब सप्लाई करता था।

हेडफोन लगाने से पहले इस खबर को जरूर पढ़ लें, नहीं तो बाद में पछताओगे

Third party image reference

विज्ञान ने हमारे जीवन को आसान और सुविधाजनक बना दिया है, दूसरी तरफ इसमें कई कमियां भी है। आज, हम आपको उस सुविधाजनक चीज़ के बारे में बताने जा रहे हैं, जिसमें आप गाना सुन्ना पसंद करते है, उस चीज़ का नाम हेडफ़ोन है और इसके कई दुष्प्रभाव भी होते है।

हेडफोन के इस्तेमाल से होने वाले नुकसान-

सुनने में दिक्क्त होना

यदि आप 90 से अधिक डेसीबल में संगीत सुनते हैं, तो आपके कानों में गंभीर क्षति हो सकती है। इसलिए, हमें लगातार गाना सुनने से बचना चाहिए। गाने सुनते समय, आपको समय-समय पर ब्रेक लेना चाहिए। इसके साथ ही आप हेडफोन की आवाज़ को मध्यम स्तर पर रखें।

कान में इन्फेक्शन

दोस्तों और परिवार वालो के साथ हेडफोन बदलने से कान में संक्रमण हो सकता हैं, इसलिए जब भी आप किसी से अपने हेडफोन साझा करते हैं तो ऐसे में आपको सैनिटाइज़र से हेडफोन को साफ़ जरूर करना चाहिए।

कान में दर्द

हेडफोन में उच्च मात्रा संगीत सुनने से कान में दर्द हो सकता है, इसका लंबे समय तक प्रयोग करने से कानो में तेज़ दर्द हो सकता है।

अगर आपको ये जानकारी अच्छी लगी तो हमे फॉलो जरूर करें ताकि आप हमारी सभी पोस्ट् सबसे पहले प्राप्त कर सकें।